Posts

Showing posts from May, 2010

Woh Samajh nahi paayi

Chaandni mere pyaar ki kyun uspar na rang laayi Kyun bas kami hi meri ibaadat me usko nazar aayi Tha laakh bura sahi main sacchi meri chaahat thi Kyun meri majburiyon ko woh samajh nahi paayi. -- Unknown

Teri Yaad

"Teri yaad se rishta kal bhi tha teri yaad se rishta aaj bhi hai, Dil apna dukhta kal bhi tha dil ye udaas aaj bhi hai, Jo pyar hum tum karte they woh pyar to zinda aaj bhi hai.. Hum bichad gaye is doori mein tum door ho majboori mein, Kabhi waqt mile to chali ana khula dil ka darwaza aaj bhi hai.. Na sataao, na tadpao, na mehfil mein yu tanha chhodo, Teri yaad me jaage kal bhi they, teri yaad me jaage aaj bhi hain.. -- Unknown